More Urdu Designed Poetry @

Barish Ke Pehli Boondain

Barish ke Ye Pehli Boondain
Kaisa Jadoo Karti Han
Dil Se Khoon Kay Qatray Lay ker
Meri Ankhen Bharti han..

Kya Hai Juz Aik Lamha e Maujood

kya hai juz aik lamha e maujood
so tum hi par nisar karta hon

Mohabbat Bohat Possessive Hoti Hai

Mohabbat bohat possessive hoti hai
Es lye mai bhi bohat possessive hon
Tumhary mamlay me koi shirkat, koi batwara koi taqseem
Mujhe qubool nahi hai, bilkul bhi nahi hai, hargiz nahi hai
Es liye kah mohabbat possessive hote hai
Ho sakta hai tumhe mai bohat narrow minded lagon
Ho sakta hai k tum kaho k yeh shaks kitna akhar hai
Kitna proud aur kitni feudal lords jaisi eske zahaniyat hai
Mohabbat me ijarah dari kyon karta hai
Magar mujhe pata hai jab tum akalay me baith k socho ge jab mai nahi hounga
To tum kaho ge uska possessive hona mujhe kitna acha lagta tha
Pyar to haq jatanay ka naam hai na wo kaisy bhala yeh baat gawara karta
Koi aur mujhe dekhay, koi aur meri tareef karay, koi aur mujhe mehsoos karay, koi aur mujhse baat karay
Wo kaisy gawara karta uskay mohabbat thi na, aur mohabbat to possessive hote hai
Aj wo nahi hai magar aye Allah, mai usay kitna yaad karte hon, ab kon hai jo mery lye possessive ho
Mai tanha reh gaye hon, es lye k mohabbat to possessive hote hai.

Dard-E-Mushitriq

Tumhain dekha nahi, jana nahi, phir bhi ye lagta hai
QABILA aik hai apna
Wohi dard-e-judai, wohi bhegi hoi palkain
NASEEBA aik hai apna
Kisi se kuch nahi kahna, koi shikwa nahi karna
QAREENA aik hai apna
Kisi ki yaad se, verana dil jagmaga lena
KHAZEENA aik hai apna
Yaqeen ki akhri haad tak, milan ki khush gumani hai
NATEEJA aik hai apna

 
©2009 Khalilullah Farooqui's Blog |