More Urdu Designed Poetry @

Love Quotes


What is love? This is a difficult question. Here are my favorite love quotations i found on Internet.

"One word frees us of all the weight and pain of life: That word is love." - Sophocles

"Attention is the most basic form of love; through it we bless and are blessed." - John Tarrant

"We love because it's the only true adventure." - Nikki Giovanni

"Love is like quicksilver in the hand. Leave the fingers open and it stays. Clutch it, and it darts away." - Dorothy Parker

"Love is friendship set on fire." - unknown

"Love is an ideal thing, marriage a real thing." - Goethe

"To be in love is merely to be in a state of perceptual anesthesia." - H.L. Mencken

"Love is everything it's cracked up to be. That's why people are so cynical about it...It really is worth fighting for, risking everything for. And the trouble is, if you don't risk everything, you risk even more." - Erica Jong

"Sometimes love is stronger than a man's convictions." - Isaac Bashevis Singer

"Love is the master key that opens the gates of happiness." - Oliver Wendell Holmes

"Maybe love is like luck. You have to go all the way to find it." - Robert Mitchum

"Love stretches your heart and makes you big inside." - Margaret Walker

"Love has no awareness of merit or demerit; it has no scale... Love loves; this is its nature." - Howard Thurman

"Love is like war: Easy to begin but hard to end." - Anonymous

"Love consists in this, that two solitudes protect and touch and greet each other." - Rainer Maria Rilke

"Where love is, no room is too small." - Talmud

"Loves makes your soul crawl out from its hiding place." - Zora Neale Hurston

"Love is the irresistible desire to be irresistibly desired." - Mark Twain

"Love is more than three words mumbled before bedtime. Love is sustained by action, a pattern of devotion in the things we do for each other every day." - Nicholas Sparks

"To love is to receive a glimpse of heaven." - Karen Sunde

"A love song is just a caress set to music." - Sigmund Romberg

"Love is an act of endless forgiveness, a tender look which becomes a habit." - Peter Ustinov

"Love is like a violin. The music may stop now and then, but the strings remain forever." - unknown

"Love is the only sane and satisfactory answer to the problem of human existence." - Erich Fromm

"In the final analysis, love is the only reflection of man's worth." - Bill Wundram, Iowa Quad Cities Times

"Love doesn't make the world go round, love is what makes the ride worthwhile." - Elizabeth Browning

"Oh, life is a glorious cycle of song,
A medley of extemporanea;
And love is a thing that can never go wrong;
And I am Marie of Romania."
- Dorothy Parker

"To love is to suffer. To avoid suffering one must not love. But then one suffers from not loving. Therefore to love is to suffer, not to love is to suffer. To suffer is to suffer. To be happy is to love. To be happy then is to suffer. But suffering makes one unhappy. Therefore, to be unhappy one must love, or love to suffer, or suffer from too much happiness. I hope you're getting this down."

Tumhari Bheegti Palkon Se

Tumhari Bheegti Palkon Se - Urdu Image Poetry Shayari


Tumhari Bheegti Palkon Se - Urdu Poetry Shayari

Tumhain Mujhse Mohabaat Hai

Tumhain Mujhse Mohabaat Hai - Urdu Image Poetry Shayari


Tumhe Mujhse Mohabbat Hai - Urdu Image Poetry Shayari

Kaho Phir Kya Kiya Jaye

Kaho Phir Kya Kiya Jaye - Urdu Poetry Shayari

Kaho Phir Kya Kiya Jaye - Urdu Designed Poetry Shayari
Kaho Phir Kya Kiya Jaye - Urdu Image Poetry Shayari


Kaho phir kiya kia jai…?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho Phir kiya kia jai…?
Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhai’n
Boht gehri Badi katil nihayat
Kushnuma Aankhai’n
Mere Dil se meri Be’tabiyo’n se
Khailti Aankhai’n
Kamoshi ki zuba’n me
mujh se kiya kuch Bolti Aankhai’n
Bazahir Dosto’n me Khil-kilati
Chor Nazro’n se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunty Aankhai’n
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhai’n
Ye sb Batai’n btati hay
Main tum ko Acha lagta ho’n
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazrai’n
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be’ittifaqui,
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se kawish
Mujhe ha’n mujhe
yu’n he Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil-Chusp si koshis
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dhar se
Be’irada gher ehem Logo’n se
Rasm-e-guftogu’n karna
Ye sb Batai’n btati hay
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
kaho phir kiya kia jai…?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki hr Shoki
Mera hr waqt hr ek Simt
tum ko Dhunttai’n rehna
Nazar partay he tum pr
Zor se Dil ka Dharak uthna
Ye sb batai’n btati hay
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho phir kiya kia jai…?
Hamaray Darmiya’n Rasmo’n, Riwajo’n ka
Samaji martabe ka Umr ka or Khandano’n ka
Boht gehra khala hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay pur kiya jai…?
Kaho phir kiya kia jai…?
Kaho phir kiya kia jAi…?

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon - Urdu Image Poetry Shayari

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho
Tum Jahan Peh Bayth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon

Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon
Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Tum Jin Ko Daykhti Rehti Ho
Wo Khuwab....Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Tum Jahan Bhi Bayth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon
Main...Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jin Logon Main Tum Rehti Ho
Tum Jin Say Batain Karti Ho
Tum Jin Say Huns K Milti Ho
Jo Tum Ko Achay Lagtay Hoon
Wohi Mujh Ko Achy Lagtay Hain
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jis Bagh Main Subh Ko Jati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhain Choo Jati Hay
Jo Khushboo...Tum Ko Bhati Hay
Wo Os Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Chor K Phoolon Ko
Jo Tum Say Milnay Aati Hai
Jo Tum Ko Choonay Aati Hay
Un Sab K Nazuk Jazbon Main
Meray Dil Ki Dharkan Basti Hai
Miri Rooh Bhi Shamil Rehti Hai
Tum Paas Raho Ya Door Raho
Nazron Main Samai Rehti Ho
Main Tum Ko Takta Rehta Hoon
Main Tum Ko Sochta Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Jis College Main Tum Parhti Ho
Jis Class Main Bhi Tum Jati Ho
Jis Kursi Peh Tum Baythti Ho
Jab Class Wo Khali Hoti Hai
Main Ja K Us Main Baythta Hoon
Us Kursi Ko Main Choota Hoon
Gadla Sa Ik Tissue Paper
Jo Tum Nay Class Main Choora Tha
Main Pyar Say Us Ko Choota Hoon
Main Us Ko...Purse Main Rakhta Hoon
Wo Copy Jis Main Lecture K Tum
Points Likhti Rehti Ho
Her Moqay Par Her Manzar Main
Main Sath Tumharay Rehta Hoon
Main Chashm-E-Tasavvur Main Aksar
Bus Tum Ko Dekhta Rehta Hoon
Bus Tum Ko Sochta Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho



Larki Ka Jawab

Tum Jab Bhi Ghar Par Aatay Ho
Aur Sab Say Batain Kartay Ho
Main Aut Say Parday Ki Janan
Bus Tum Ko Dekhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Dekhnay Ki Khatir Main Kitni Pagal Hoti Hoon
Main Aisi Mohabat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Chor K Sab Kuch Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paoon To Ji Bhar K Ronay Lagti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Mehfil Main Kaheen Bhi Jana Ho
Kapron Ka Selection Karna Ho
Rang Bohat Say Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pe Dil Aa Jata Hai
Jo Rang K Tum Ko Bhata Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Hoay
Ya Break K Khali Ghantay Main
Sakhyoon Say Batain Kartay Hoay
Meray Dhiyan Main Tum Aa Jatay Ho
Mein, Main Nahin Rehti
Phir Janan Main Tum Main Gum Ho Jati Hoon
Bus Khuwabon Main Kho Jati Hoon
Un Aankhon Main Kho Jati Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Jis Chehray Par Bhi Nigha Paray
Her Chehra Tum Sa Lagta Hai
Wo Sham Ho Ya Ke Dhop Samay Sab Kitna Bhala Sa Lagta Hai
Janay Ye Kaisa Nasha Hai Garmi Ka
Tapta Mosam Bhi Jaray Ka Maheena Lagta Hai
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Tum Jab Bhi Samnay Aatay Ho
Main Tum Say Sunn Na Chahti Hoon
Kash Kabhi Tum Ye Keh Do
Tum Mujh Say Mohabbat Kartay Ho
Tum Mujh Ko Bohat Hi Chahtay Ho
Lekin Janay Tum Kyun Chup Ho
Yeh Soch K Dil Ghabrata Hai
Aisa To Nahin Hai Na Jana Sirf Meri Nazar Ka Dhoka Ho
Tum Nay Mujh Ko Chaha Hi Na Ho
Koi Aur Hi Dil Main Rehta Ho
Main Tum Say Poochna Chahti Hoon
Main Tum Say Kehna Chahti Hoon
Lekin Kuch Pooch Nahin Sakti Mana Ke Mohabbat Hai
Phir Bhi Lab Apnay Khol Nahin Sakti
Main Larki Hoon Kaisay Keh Doon
Main Kaisi Mohabat Karti Hoon
Main Tum Say Ye Kaisay Pochoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho
Chup Chap See Main...Ho Jati Hoon
Phir Dil Main Apnay Kehti Hoon
Main Aisi Mohabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Kartay Ho


’’ میں ایسی محبت کرتا ہوں‘‘

ناکام نہیں ناشاد نہیں
میں قیس نہیں فرہاد نہیں
پنوں بھی نہیں رانجھا بھی نہیں
وامق بھی نہیں مرزا بھی نہیں
وہ لوگ تو بس افسانہ تھے
اس شدت سے بیگانہ تھے
میں زندہ ایک حقیقت ہوں
سرتاپا جذبہ- الفت ہوں
میں تم کو دیکھ کے جیتا ہوں
ہر لمحہ تم پہ مرتا ہوں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

تم جہاں پہ بیٹھ کے جاتے ہو
جس چیز کو ہاتھ لگاتے ہو
میں وہیں پہ بیٹھا رہتا ہوں
اس چیز کو چھوتا رہتا ہوں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

تم جس سے ہنس کے ملتے ہو
میں اس کو دوست بناتا ہوں
تم جس رستے پہ چلتے ہو
میں اس سے آتا جاتا ہوں
تم جن کو دیکھتے رہتے ہو
وہ خواب سرہانے رکھتا ہوں
میں تم سے ملنے جلنے کے
کتنے ہی بہانے رکھتا ہوں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

کچھ خواب سجا کر آنکھوں میں
پلکوں سے موتی چنتا ہوں
کوئ لمس اگر چھو جائے تو
میں پہروں اس کو سوچتا ہوں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جن لوگوں میں تم رہتی ہو
تم جن سے باتیں کرتی ہو
جو تم سے ہنس کے ملتے ہیں
جو تم کو اچھے لگتے ہیں
وہی مجھ کو اچھے لگتے ہیں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جس باغ میں صبح کو جاتی ہو
جس سبزے پر تم چلتی ہو
جو شاخ تمہیں چھو جاتی ھے
جو خوشبو تم کو بھاتی ھے
وہ اوس تمہارے چہرے پر
جو قطرہ قطرہ گرتی ھے
وہ تتلی چھوڑ کے پھولوں کو
جو تم سے ملنے آتی ھے
جو تم کو چھونے آتی ھے
ان سب کے نازک جذبوں میں
میرے دل کی دھڑکن بستی ھے
میری روح بھی شامل رہتی ھے
تم پاس رہو یا دور رہو
نظروں میں سمائ رہتی ہو
میں تم کو تکتا رہتا ہوں
میں تم کو سوچتا رہتا ہوں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

جس کالج میں تم پڑھتی ہو
میں اس میں لیکچر دیتا ہوں
وہ کلاس جہاں تم ہوتی ہو
میں اس کو تکتا رہتا ہوں
جو کاپی تم نے گم کی تھی
میں اپنے بیگ میں رکھتا ہوں
گدلا سا اک ٹشو پیپر
جو تم نے کلاس میں چھوڑا تھا
وہ میرے پرس میں رہتا ھے
وہ میرے لمس میں رہتا ھے
وہ مخمل ھے، وہ دیبا ھے
وہ چاندی ھے، وہ سونا ھے
وہ عنبر ھے، وہ صندل ھے
وہ خو شبو کا اک جنگل ھے

ہر منظر میں، ہر رستے پر
میں ساتھ تمہارے رہتا ہوں
میں چشم- تصور سے اکثر
بس تم کو دیکھتا رہتا ہوں
بس تم کو سوچتا رہتا ہوں
’میں ایسی محبت کرتا ہوں‘
تم کیسی محبت کرتی ہو؟

Ek Kahani Ko Anjaam Darpesh Hai

ek-kahani-ko-anjam

Dard-E-Mustarik

Dard-E-Mustarik - Urdu Designed Poetry

Dard-E-Mustarik - Urdu Image Poetry Shayari

Saalgirah

Saalgirah - Urdu Image Poetry Shayari

Saalgirah - Urdu Image Poetry Shayari

Mohabbat Khushguman Ha

Mohabbat Khush Guman Ha - Urdu Image Poetry Shayari
Mohabbat Khushguman Ha - Urdu Image Poetry Shayari

MOHABBAT KHUSH GUMAN HAI...

Tumhari Angishtri K Nag Mein
Meri Mohabbat Chamak Rahi Hai
Agar Kabhi Ye Guman B Guzray
K Main Tumhe Bhoolnay Laga Hun
Tu Is Nageenay Ko Dekh Lena
Meri Nigahon Ki Jagmagahat
Tumhari Aankhon Se Ye Kahay Ge..
Suno Mobahhat To Khush Guman Hai...
Agar Koi Bugaz Dil Ka Mara
Nazar Se Toota Hua Sitara
Tumahare Seenay Mein Waswason K
Kaseelay Khanjay Utarta Ho.....
K Woh Jo Dil Pheenk O Bewafa Hai
K Woh Sab Par Fareefta Hai
K Woh Jo Pardais Ja Basa Hai
Tumhein Bhanwar Beech Chor De Ga
Wafa K Sab Qool Tor De Ga

Tou Is Se Pehle K Roo Paro Tum
Tou Is Se Pehle K Jal Bhujo Tum
Tou Is Se Pehle K Ye Kaho Tum
Woh Ehad O Peeman Sab Ghalat Thay
Wafa K Unwaan Sab Ghalat Thay
Sehar K Imkaan Sab Ghalat Thay
Tum Apni Inghist E Dilruba Par
Gulab Chehra Jhuka K Kehna
Suno Woh Sach Much He Bewafa Hai?

Tumhara Rota Sawal Sun Kar
Ye Shookh Nag Muskura Paray Ga
Mohabbaton K Safeer Ban K
Ye Surkh Nag Or Haseen Anghoothi
Meri Numaindagi Karein Gay
Tumhare Chehray Se Chair Kartay
Tumhari Aankhon K Rang Parhtay
Tumhare Baalon K Rang Parhtay
Tumhare Gaalon Ko Thapthapa K
Haseen Anghistri Kahay Gi
"SUNO MOHABBAT TO KHUSH GUMAN HAI..."

 
©2009 Khalilullah Farooqui's Blog |